Dr K Chaudhry
Ek din bik jaayega maati ke mol
Hindi movie : Dharam Karam
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Ek din bik jaaega maati ke mol
Jag mein rah jaaenge, pyaare tere bol
Duuje ke hothon pe lekar apane geet
Koyee nishaani chhod phir duniyaa se gol
(Anahoni path mein kaante laakh bichhaae
Honi to phir bhi bichhadaa yaar milaae ) - (2)
Ye birahaa ye doori, do pal ki majaboori
Phir koyee dilavaalaa kaahe ko ghabaraaye tarampam,
Dhaaraa to bahatii hai bahake rahati hai
Bahatii dhaaraa ban jaa phir duniyaa se gol
Ek din ...
(Parade ke peechhe baithi saanval gori
Thaam ke tere mere man ki dori ) - (2)
Ye dori na chhoote ye bandhan na toote
Bhor hone vaali hai ab raina hai thodi, tarampam,
Sar ko jhukaae tu baithaa kya hai yaar
Gori se nainaa jod phir duniyaa se gol
Ek din ...
Vo tere pyaar ka gham ek bahaana tha sanam
Hindi movie : My Love
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Vo tere pyaar ka gham
Ek bahana tha sanam
Apni Kismaat Hi Kuch Aise Thi
Ki Dil Toot Gaya
Ye Na Hota To Koi Dusra Gam Hona Tha
Main Ti Wohh Hoon Jise Har Haal Mei Bas Rona Tha
Muskarataa Bhi Agar To Chalak Jate Nazaar
Apani Kismet Kuch Aise Thi Ki Dil Toot Gay
Warna Kya Baat Hai Tu Koi Sitamgar To Nahin
Tere Seene Mei Bhi Dil Hai Koi Pattar To Nahin
Tunne Dhaya Hai Steam To Yahi Samjhenge Hum
Apni Kismet Hi Kuch Aise Thi
Ke Dil Toot Gaya
Wohh Tere Pyaar Ka Gam
Ek Bahana Tha Sanam
Apni Kismaat Hi Kuch Aise Thi
Ki Dil Toot Gaya
Maine dil se kaha dhoond laana khushi nasamajh laya ghum to
Inspiration : Promilla ji
Hindi movie : Rog
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Maine dil se kaha dhoond laana khushi
Nasamajh laya ghum to yeh gum hi sahi
Maine Dil Se Kaha, Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum, To Yeh Gum Hi Sahi
Maine Dil Se Kaha Dhoond Laana Khushi
Bechaara Kahan Jaanta hai
Khalish Hai Yeh Kya Khala Hai
Shehar Bhar Ki Khushi Se
Yeh Dard Mera Bhala Hai
Jashna Yeh Raas Na Aaye
Mazaa Toh Bas Gam Main Aaya Hai
Maine Dil Se Kaha, Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum, To Yeh Gum Hi Sahi
Kabhi Hai Ishq Ka Ujaala
Kabhi Hai Maut Ka Andhera
Bataao Kaun Bhes Hoga
Main Jogi Banu Ya Lutera
Kayi Chehre Hain Is Dil Ke
Na jaane Kaun sa Mera
Maine Dil Se Kaha Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum, To Yeh Gum Hi Sahi
Hazaaron Aaise Phaasle The
Jo Tai Karne Chale The
Raahen Magar Chal Padi Thi
Aur Peeche Hum Rah Gaye The
Kadam Do Chaar Chal Paaye
Kiye Phere Tere Mann Ke
Maine Dil Se Kaha, Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum, To Yeh Gum Hi Sahi
Maine Dil Se Kaha, Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum, To Yeh Gum Hi Sahi
Ek akela is shahar mein raat mein aur dopahar mein
Hindi movie : Gharaunda
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Ek akela is shahar mein raat mein aur dopahar mein
Aabodaana Dhoondta Hai Aashiyana Dhoondta Hai
Din Khali Khali Bartan Hai Aur Raat Hai Jaise Andha Kuan
In Sooni Andheri Aankhon Se Aansoon Ki Jagah Aata Hain Dhuan
Jeene Ki Vajah To Koi Nahi Marne Ka Bahana Dhoondta Hai
Ek Akela Is Shahar Mein...
In Umar Se Lambi Sadkon Ko Manzil Pe Pohonchte Dekha Nahin
Bas Daudti Phirti Rahti Hain Humne To Theherte Dekha Nahin
Is Ajnabi Se Shahar Mein Jaana Pehechana Dhoondta Hai
Ek Akela Is Shahar Mein...
Aaj kal mein dhal gayaa din huaa tamaam
Inspiration : Syed Tassaduq Hussain Lahore,Pakistan
Hindi movie : Beti Bete
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Aaj kal mein dhal gayaa din huaa tamaam
Tu bhee so jaa, so gayee rangabharee shaam
So gayaa chaman chaman so gaee kalee kalee
So gaye hain sab nagar, so gaee galee galee
Neend kah rahee hain chal meree baahen thaam
Hai bujhaa bujhaa saa dil bojh saans saans par
Jee rahe hain fir bhee hum sirf kal kee aas par
Kah rahee hain chaandanee le ke teraa naam
Kaun aayegaa idhar, kisakee raah dekhe hum
Jin kee aahate sunee, jaane kisake the kadam
Apanaa koee bhee nahee, apane hain to raam
Na kissi ki aankh ka noor hun na kissi ke dil ka qaraar hun
Hindi movie : Lal Quila
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Na kissi ki aankh ka noor hun
Na kissi ke dil ka qaraar hun
Jo kissi ke kaam na aa saka
Main woh ek musht-e-ghubaar hun
Na to main kissi ka habib hun
Na to main kissi ka raqeeb hun
Jo bigad gaya woh naseeb hun
Jo ujad gaya woh dayaar hun, jo kissi ke ...
Mera rang-roop bigad gaya
Mera yaar mujhse bichhad gaya
Jo chaman fizaan mein ujad gaya
Main usi ki fasl-e-bahaar hun, jo kissi ke ...
Aaye faateha koyi aaye kyun,
Koyi chaar phool cha-ra ye kun
Koyi aake shama jalaye kyun
Mein woh be-kasi ka mazar hun
Aaj tumse door ho kar aise roya mera pyaar
Hindi movie : Ek Raat
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Aaj tumse door ho kar aise roya mera pyaar
chaand royaa saath mere, raat royee baar baar
kuchh tumhaare bandishen hain, kuchh hain mere daayare
jab muqaddar hi bane dushman to koyee kyaa kare
haaye koyee kyaa kare,
is mukaddar par kiseekaa, kyaa hai aakhir ikhtiyaar
chaand royaa saath mere, raat royee baar baar ...
har tamannaa se judaa main, har khushi se door hun
jee rahaa huun kyonki jeene ke liye majaboor hun
haaye main majabuur hun
mujh ko marane bhi na degaa, ye tumhaaraa intazaar
chaand royaa saath mere, raat royee baar baar ...
Sun sun sun sun zaalima pyaar hamko tumse ho gaya
Child artist : Shreyas Chaudhry
Hindi movie : Aarpaar
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Sun sun sun sun zaalima
pyaar hamko tumse ho gaya
dil se mila le dil mera
tujhko mere pyaar ki qasam
pyaar ki nazar se duur yu na zindagi guzaar
husn tu hai ishq main kar bhi le nazar ko chaar
chaar main nazar karu aur phir huzur se
paas yu na aayiye baat keeje dur se
sun sun sun sun zaalima ...
dur kab talak rahu, phool tu hai rang main
main to hu tere liye, dor tu patang main
kat gayi patang jee, dor ab na daaliye
aur kisi ke saamne ja ke dil uchhaaliye
sun sun sun sun zaalima ...
baat rah na jaaye phir, waqt ye guzar na jaaye
mere pyar ka ye haar toot kar bikhar na jaaye
pyaar pyaar kah ke tu dil mera na loot re
kah raha hai tu jo baat, ho na jhooth-mooth re
sun sun sun sun zaalima ...
Shehnaaiyon ki sada keh rahi hai
Movie : Dhadkan
Child Artist : Shreyas Chaudhry
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Haan deewana hoon main gam ka maara hua ik begaana hoon main
Inspiration : nareshdel
Hindi movie : Saaranga
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Haan deewana hoon main - 2
gam ka maara hua
ik begaana hoon main
haan deewana hoon main
maangi khushiyaan magar gam mila pyaar mein
dard hi bhar diya dil ke har taar mein
aaj koi nahi mera sansaar mein
chhod kar chal diye mujhko majhadhaar mein
haay teer-e-nazar ka nishana hoon main
haan deewana hoon main ...
main kisika nahi koi mera nahi
is jahaan mein kaheen bhi basera nahi
mere dil ka kaheen bhi andhera nahi
mere is shaam ka hai savera nahi
hay bhula hua ik fasana hoon main
haan deewana hoon main ...
Aaj galiyon mein teri aaya hai deewana tera dil mein lekar
Hindi movie : Sohni Mahiwal
Resung by : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Ai meri zindagi ke sahare kahan hai tu
Mujhko bhi apne paas bula le jahan hai tu
Aaj galiyon mein teri aaya hai deewana tera
Dil mein lekar ghum tera hoton pe afsaana tera
Aaj galiyon mein teri....
Bheekh de deedaar ki parda utha jalwa dikha
Maangta hai husn ki khairaat mastaana tera
Aaj galiyon mein teri....
Tu hi dil ko husn ki chingaarion se phoonk de
Aag mein ghum ki jalaa jaata hai parwaana tera
Aaj galiyon mein teri....
Teri marzi hai banaade ya mita de tu mujhe
Zindagi tujhpar hai sadke dil hai nazraana tera
Aaj galiyon mein teri....
Hai duniya usee ki zamaanaa usee ka mohabbat mein jo ho gaya
Hindi movie : Kashmir Ki Kali
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Hai duniya useekee jamaanaa usee ka
Mohabbat mein jo ho gayaa ho kisee ka
Lutaa jo musaafir, dil ke safar mein
Hai jannat ye duniyaan usakee najar mein
Usee ne hain lootaa majaa jindagee ka
Hai sajade ke kabil har wo deewaana
Ke jo ban gayaa ho tasaweer-ye-jaana
Karo ehataraam usakee diwaanagee ka
Barabaad honaa jisakee adaa ho
Dard-ye-mohabbat jisakee dawaa ho
Sataayegaa kyaa gam use jindagee ka