Dr K Chaudhry
Sar jo tera chakraaye ya dil dooba jaaye Aaja pyaare paas ha
Hindi movie : Pyaasa
Resung by : Max Chaudhry & Dr K Chaudhry
Album : Akash Geet
Sar jo tera chakraaye ya dil dooba jaaye
Aaja pyaare paas hamaare kaahe ghabraaye
kaahe ghabraaye
Ye tel mera hai mushqui
Na thand lage na khushqui
Jis ke sir par haath phira dun qismat chamke uski
Sun sun sun are beta sun
Is champee mein badhe badhe gun
Laakh dukhon ki ek dawa hai kyun na aazmaaye
Kaahe ghabraaye kaahe ghabraaye
Pyaar ka hove jhagra ya business ka ho ragdha
Sab lafdhon ka bojh hate jab padhe haath ik tagdha
Sun sun sun are babu sun
Is champee mein badhe badhe gun
Laakh dukhon ki ek dawa hai kyun na aazmaaye
Kaahe ghabraaye kaahe ghabraaye
Naukar ho ya malik Leader ho ya public
Apne aage sabhi jhuke hain kya raja kya sainik
Sun sun sun are babu sun
Is champee mein badhe badhe gun
Laakh dukhon ki ek dawa hai kyun na aazmaaye
Kaahe ghabraaye kaahe ghabraaye
Aanchal mein sajaa lena kaliyaan zulfon mein sitaare bhar le
Hindi movie : Phir Wohi Dil Laaya Hun
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Aanchal mein sajaa lena kaliyaan zulfon mein sitaare bhar lena
Aise hi kabhi jab shaam dhale, tab yaad hamein bhi kar lena
Aanchal mein sajaa lenaa kaliyaan
Aaya thaa yahaan begaana sa-2
Chal doonga kaheen deevaana sa-2
Deevaane ki khaatir tum koyee, ilzaam na apane sar lena
Aise hi kabhi jab shaam dhale, tab yaad hamein bhi kar lena
Aanchal mein sajaa lena kaliyaan
Rasta jo mile anjaan koyee-2
Aa jaaye agar toofaan koyee-2
Apane ko akela jaan ke tum
Aankhon mein na aansoon bhar lena
Aise hii kabhi jab shaam dhale, tab yaad hamen bhi kar lena
Aanchal mein sajaa lena kaliyaan
Saaranga teri yaad mein nain hue bechain
Hindi movie : Saaranga
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Saaranga teri yaad mein nain hue bechain
madhur tumhare milan bina
din katate nahi rain, ho..
saaranga teri yaad mein ...
vo ambuva ka jhoolana, vo pipal ki chhaanv
ghoonghat mein jab chaand tha, mehandi lagi thi paanv
ho, (aaj ujadke rah gaya - 2)
vo sapanon ka gaanv, ho ...
saaranga teri yaad mein ...
sang tumhaare do ghadi, bit gaye jo pal
jal bharke mere nain mein, aaj hue ojhal
ho, (sukh leke duhkh de gayi -2)
do akhiyan chanchal, ho ...
saaranga teri yaad mein ...
Ghar baabul da chhad ke dheeye dheeye ik din jaana ae
Punjabi movie : Chaudhry Karnail Singh
Resung by : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Ghar baabul da chhad ke dheeye
Dheeye ik din jaana ae
Ai gal jaane saaree duniya
Dheeyan dha begaana ae
Ghar baabul da chhad ke dheeye....
Dheeyan nu toran da jag wich je kite dastur na hunda
Main kadi na tordatainu bebas te majboor na hunda
Dheeyan torian rajeyan raneyan e dastur puraana ae
Ghar baabul da chhad ke dheeye....
Teri saadi saanjh si aini rasmi mel si chaar dinaan da
Gide boliyan bhangadhe peegan o sab khel si chaar dinnan da
Tu purauhni si chaar dinaan di tera door thikaana ae
Ghar baabul da chhad ke dheeye....
Saadi yaad kadi je aawe ghut sabar da pee layeen bachiye
Sakhiyan chhad ke jaandi waari see na kareen bul si layeen bachiye
Shaala jeeven sada wassen tu assan a farz nibhaana ae
Ghar baabul da chhad ke dheeye....
Ai dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Hindi movie : Bhai Bhai
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
I just viewed performance of Nikita on You Tube. The voice was so miraculous that kept me humming
the song all the time. I thought I should share that hum with You Tube users. My original for this song
does not lie in history when I was 6th standard student. It lies in current performance of Nikita - the little
girl at least as she appears from my age.
Aane waala pal jaane waala hai ho sake to iss mein zindagi b
Hindi movie : Gol Maal
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Aane waala pal jaane waala hai (2)
Ho sake to iss mein zindagi bitaa do pal jo yeh
Jaanewala Hai Ho Ho
Aanewala Pal Jaanewala Hai
Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai
Ek Baar Yoon Mili Maasoom Si Kali (2)
Ho Khilte Hue Kahaa Pushpaash Mein Chali
Dekha To Yahin Hai Dhundha To Nahin Hai Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai Ho Ho
Aanewala Pal Jaanewala Hai
Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai
Ek Baar Waqt Se Lamha Gira Kahin (2)
Wahaan Dastaan Mili Lamha Kahin Nahin
Thoda Sa Hasaake Thoda Sa Rulaake Pal Ye Bhi Jaanewala
Hai Ho Ho
Aanewala Pal Jaanewala Hai
Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai Ho Ho
Aanewala Pal Jaanewala Hai (2)
Ai mere dil kahin aur chal gam ki duniyaa se dil bhar gayaa
Hindi movie : Daag
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Ai mere dil kahiin aur chal
Gam kii duniyaa se dil bhar gayaa
Dhundh le ab koi ghar nayaa -2
Ai mere dil kahiin aur chal
Chal jahaan gam ke maare na hon
Jhootii aashaa ke taare na hon -2
Jhootii aashaa ke taare na hon
In bahaaron se kyaa faayadaa
Jis mein dil kii kalii jal gai
Zakham phir se haraa ho gayaa
Ai mere dil kahiin aur chal
Chaar aansuu koi ro diyaa
Pher ke munh koi chal diyaa -2
Pher ke munh koi chal diyaa
Lut rahaa thaa kisii kaa jahaan
Dekhatii rah gai ye zamiin
Chup rahaa beraham aasamaan
Ai mere dil kahiin aur chal
Gam kii duniyaa se dil bhar gayaa
Dhundh le ab koi ghar nayaa
Ai mere dil kahiin aur chal
Bhoolane vaale yaad na aa
Hindi movie : Anokhi Ada
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Bhoolane vaale yaad na aa - 2
Dekh hamen majboor na kar
Tujh ko kasam dukh door na kar
Ham to jiye bas tere liye
Toone kuchh aise ranj diye
Thes lagi dil toot gayaa
Bhoolane vaale yaad na aa ...
Haay vafaa nakaam huyee
Subah ke badale shaam huyee
Phool khushi ke khil na sake
Aankh mili dil mil na sake
Dekh liyaa anjaam-e-vafaa
Bhoolane vaale yaad na aa ...
Dil se mitaa ulfat ka nishaan
Tujh se hamaaraa pyaar kahaan
Pyaar ka naataa tod yahin
Geet adhooraa chhoD yahin
Main bhi na gaaun tu bhi na gaa
Bhoolane vaale yaad na aa ...
Geet gaata hun main gungunaata hun main
Hindi movie : Lal Pathar
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Geet gaata hun main gungunaata hun main
maine hasane kaa waadaa kiyaa thaa kabhee
isaliye ab sadaa muskuraataa hoon main
ye mohabbat ke pal kitane anamol hain
kitane fulon se naajook mere bol hain
sab ko fulon kee maalaa pahanaataa hoon main
muskuraataa hoon main ...
roshanee hogee itanee kise thee khabar
mere man kaa ye darpan gayaa hain nikhar
saath hain ab ye darpan dikhaataa hoon main
muskuraataa hoon main ...
Meri kahaanee bhoolane vaale tera jahaan abaad rahe
Hindi movie : Deedaar
Resung by : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Meri kahaanee bhoolane vaale
Tera jahaan abaad rahe, merii kahaanee
Teri khushii par main mit jaaoon duniyaa meri barbaad rahe
Meri kahaanee
Mere geet sune duniyaan ne magar
Mera dard na koyee jaan sakaa
Ek tera sahaara tha dil ko
Tu bhi na mujhe pahachaan saka
Bachapan ke wo geet puraane aaj tujhe na yaad rahe
Meri kahaanee
Main apanaa fasaana kah na saka
mere dil ki tamanna dil me.n rahi
Lo aaj kinaare par aake
Aramaanon ki kashti doob gayee
Qismat ko manzoor yahi tha lab par mere fariyaad rahe
Meri kahaanee
Laakhon hain nigaah mein zindagi ki raah mein
Hindi movie : Phir Wohi Dil Laaya Hun
Resung by : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Laakhon hain nigaah mein zindagi ki raah mein
Sanam hasiin javaan
Hothon pe gulaab hai aankhon mein sharaab hai
Lekin vo baat kahaan -2
Lat hai kisii ki jaaduu kaa jaal
Rang daale kisii pe kisii kaa jamaal - 2
Taubaa ye nigaahen, ye rokatii hai raahen-2
Le leke tiir kamaan
Laakhon hain nigaah mein zindagii ki raah mein
Sanam hasiin javaan
Hothon pe gulaab hai aankhon mein sharaab hai
Lekin vo baat kahaan
Jaanuun naa diivaanaa main dil kaa
Kaun hai khayaalon kii malikaa - 2
Bhiigii bhiigii rut kii chhaaon tale Maan lo kahin vo aan mile-2
Kaise pahachaanuun ke naam nahiin jaanuun-2
Kisse dhuundhe mere aramaan
Laakhon hain nigaah mein zindagii ki raah mein
Sanam hasiin javaan
Hothon pe gulaab hai aankhon mein sharaab hai
Lekin vo baat kahaan
Kabhii kabhii vo ek maha-jabiin
Dolatii hai dil ke paas kahin - 2
Hain jo yahii baatein To hongii mulaakaaten-2
Kabhii yahaan nahiin to vahaan
Haay, Laakhon hain nigaah mein zinagii ki raahon mein
Sanam hasiin javaan
Hothon pe gulaab hai aankhon mein sharaab hai
Lekin vo baat kahaan
Dil aaj shaayar hai gam aaj nagamaa hai
Hindi movie : Gambler
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Dil aaj shaayar hai gam aaj nagamaa hai
Shab ye gazal hai sanam
Gairon ke sheron ko o sunane vaale
Ho is taraf bhi karam
(Aake zaraa dekh to teri khaatir
Ham kis tarah se jiye) - 2
Aansuu ke dhaage se seete rahe ham
Jo zakhm tune diye
Chaahat ki mahafil mein Gam teraa lekar
Qismat se khelaa juaa
Duniyaa se jeete par tujhase haare
Yuun khel apanaa huaa ...
(Ye pyaar hamane kiyaa jis tarah se
Usakaa na koyee javaab) - 2
Zarraa the lekin teri lau mein jal kar
Ham ban gae aafataab
Hamase hai zindaa vafaa aur ham hi se
Hai teri mahafil javaan
Jab ham na honge to ro roke duniyaa
Dhuundhegii mere nishaan ...
(Ye pyaar koyee khilaunaa nahin hai
Har koyee le jo khareed) - 2
Meri tarah zindagii bhar tadap lo
Phir aanaa isake kareeb
Ham to musaafir hain koyee safar ho
Ham to guzar jaaenge hi
Lekin lagaayaa hai jo daav ham ne
Vo jeet kar aaenge hi ...